Live Train running status Online check kaise kare

Dosto aaj har insan apna time bachana chahta hain,har insan chahta hain ki hamara kaam ghar par hi ho jaaye aur hame doosri jagah apna time kharaab naa karna pade,aaj ki hamari ye post aise hi logo ke liye hain jo train se kahi jaana chahte hain lekin railway station par khade nahi hona chahte,aaj ke online ke jamaane me bhi maine kahi saare aise logo ko dekha hain jo railway station par ghanto tak baithe rehte hain,woh sirf sochte hi rehte hain ki kaash train jaldi aa jaaye,woh chahte hai ki kaash aisa tarika hota ki train ke bare me hame poori jaankaari mil jaaye.Kuchh logo ke liye ye sab jaan paana kuchh ajeev saa lagta hai,Agar aapka bhi kuchh aisa hi savaal hain toh ye pakka hain ki aaj ki ye post aapki bahut jyada madad karegi.

Online Live train running status dekhne ke liye kya hona chahiye-

(1)internet-

live train running status dekhne ke liye sabse pehle aapke paas internet hona chahiye,aap live train running status apne mobile yaa computer yaa laptop me internet ke dwara dekh sakte hai.

(2)train number-

live train running status dekhne ke liye doosri sabse jaruri cheej hain ki aapko train ka number pata hona chahiye,iske bina aap train nahi dekh sakte,isliye sabse pehle aap google par search kare ki aap kaha jaana chahte hain,jaise ki agar aapko Gwalior se beena jaana hain toh google search me type kare Gwalior to beena train.itna search karne par result aapke saamne honge aur ab aap kisi website par jaakar check kare ki aap kis train se jaana chahte hain,aap jis train se bhi jaana chahte hain us train ka number note kar le.

Live train running status kaise dekhe-

Ab aapko ek website par jaana hoga,aap is website par jaaye http://runningstatus.in/ aur enter train number me apni train ka number daale,aur aaj ki date select kare aur get running status par click kare,ab aapne jo train number daala hain uski poori jaankaari aapke saamne aa jaati hain.agar aapko pichhle dino ki train ki timming ki jaankaari chahiye toh aap apne hisaab se pichhli date bhi select karke kuchh pichhle dino ki train running status ki jaankaari le sakte hain.

kya kya check kar sakte hain

(1)is site par jaise hi ham train number search karte hain toh hame pata chalta hain ki train kaha tak pahuchi hain.ham dekh sakte hain ki train us station tak pahuchi yaa nahi pahuchi.

,(2)hame pata chalta hain ki train kon se station par ruki hain jisse ham apna time bacha sakte hain

(3)ham pata kar sakte hain ki train apne station par pahuchi yaa nahi pahuchi

(4)hame pata chalta hain ki train aaj kitni late hain,jisse ham aaraam se train ke aane ke time par railway station pahuchenge aur hamara time bachega.

agar aapko ye post pasand aaye toh ise share jarur kare

ise bhi pade-electricity-bill-online-payment-kaise kare   offline-hindi-me-typing-kaise-kare

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *