Indian Political Thought in Hindi

Indian Political Thought in Hindi

Dosto aaj ki hamari ye post “indian political thought in hindi” ek aisi soch hain jo   hamko hamare desh ki rajneeti se parichit karayegi,rajneeti hamare desh ka ek aisa hissa hai jiske bina jeevan sambhav nahi hai.

rajneeti india ki shakti hai,aaj hamara desh jo bhi hai sirf political power ki wajah se hi hai,agar koi politics desh me kuchh bhi galat karta hai toh uska bura asar poore desh me hota hai isliye sabhi logo ko samajhne ki jarurat hain ki desh me naa kuchh galat karna chahiye aur naa kuchh galat karne dena chahiye tabhi hamare desh ka vikash sambhav hain.

ancient indian political thought in hindi

dosto pracheen kaal me jo aisi rajneeti hoti thee,uska mukavla aaj ke yug me koi kar nahi sakta,pracheen kaal me apne rajya ko,apne rajya ke logo ko apna parivar ka sadasya mana jata tha,kal ke rajneta apne parivar ke liye kuchh bhi karne ke liye taiyar rahte the,woh hamesha apne se jyada apni prjaa ke bare me sochte the.

shree ram ji ke baare me toh sab jaante hi hai,unhone kaise apne desh vaasiyo ko khush rakhne ke liye apni patni ko jungle me bhejh diya tha,unhone ek pal bhi apne bare me nahi socha,unhone sirf apni prjaa ke bare me socha tha,usi kaaran ham sab unko yaad karte hain,woh apne parivar se jyada apni prjaa ko value dete the,woh mahan the,jinhone apni prjaa ki khushi ke liye kurvaniya bhi de di.

Lekin aajkal jyada tar log rajneeti karte hain toh sirf paisa yaa shorat kamane ke liye lekin aisa nahi hona chahiye,agar koi bhi rajneeti karna chahta hai toh paiso ya shorat ke liye nahi balki desh ke vikas ke liye karni chahiye,aur jab ham aisa karenge toh apne aap hi hamare paas sab kuchh aa jaayega.

modern indian political thought notes in hindi

dosto duniya me pracheen kaal se abhi tak kaafi saare parivartan aaye hai,aisa hi ek parivartan politics me bhi dekhne ko milta hain,aajkal ke jyadatar log jab politics me hissa lena chahte hai toh unka maqsad sirf yahi hota hai ki kuchh paisa,kuchh maan samman kamaya jaye,lekin mera manna hai ki agar rajneeti karna ho toh sirf yahi soche ki mujhe mere desh ka bhala karna hai.

dosto mai kaafi logo se milta hu aur unse raajneeti ke baare me poochhta hu ki aapke hisaab se raajneeti kya hai?

toh jyadatar logo ka answer yahi hota hai ki raajneeti me samaaj ke kaam ke liye jo rupya aaye, un rupye me se rupye bachao aur kuchh rupyo ko samaaj ke kaam me lagado yahi raajneeti hai,yaani ek tarah se desh ki dalaali karna hi raajneeti hai,paisa kamana hi raajneeti hai,janta ko bevkoof banana hi raajneeti hai.

sirf baade karke bhoolna hi raajneeti hai,apne parivaar ko banana hi raajneeti hai,desh ka kuchh bhi ho apne baare me sochna hi raajneeti hai.

ye baate mujhe un logo se sunne ko mili hai.mai kehta hu ki agar desh ka yuva hi aisa sochega toh desh ka kya hoga,jab desh ka yuva hi esa sochega toh aaj kal ke politics bhi esa hi sochenge lekin mehtvta.com par aaj ham aapke liye laaye hai ek nayi raajneeti ki soch.

har kaam ke 2 pahalu hote hai  achchha aur bura

rajneeti ki ek nayi soch

rajneeti ki nayi soch main aapko neeche kuchh charno me bata raha hu-

(1)dosto raajneeti ka sahi matlab samaaj ka bhala karna hai,bhalehi apna bura ho jaaye,khud ka,apne pariwar ka bura ho jaaye lekin desh ka bura nahi hone dena hi raajneeti hai.

(2)desh ko apne pariwar ki tarah samajhna hi raajneeti hai,janta ko khush rakhna hi raajneeti hai,baade karke unhe jaan dekar bhi poora karna hi raajneeti hai,apne pariwar ka toh har koi vikash karna chahta hai lekin in sabse pehle apne desh ke vikash ke baare me sochna hi raajneeti hai.

(3)log bahut saare raajnetaao me dosh toh laga dete hai lekin kya aapne kabhi socha ki agar in raajnetaao me dosh hai toh sabse pehle khud me dosh hai kyoki agar aap chaho toh ye raajneta hamare desh me wahi karenge jo ham chahte hai.

(4)ham sabko samajhna chahiye ki raajneeti desh ka aadhar hai,agar aap me se koi apne desh ke liye aisi achchhi rajneeti karna chahta hai toh kariye,phir dekhna log kehte hai ki kalyug hai lekin nahi is kalyug me bhi swarg najar aa jaayega.

“log kehte hai ki raajneeti gandi hoti hai lekin gandi raajneeti nahi raajneeti karne wale log ho sakte hai”

isliye uthiye aisi raajneeti keejiye ki shree ram bhi aapki raajneeti dekhkar khush ho jaaye.

ham sabko samajhna hoga ki raajneeti me sudhar ham sabke yogdaan se hi sambhav ho sakta hai.

agar aapko hamara ye article “Indian Political Thought in Hindi” pasand aaye toh ise share jarur kare.

2 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *